lifestyle

Best Motivational Shayari in Hindi 2016

* Kabhi Zameen Mat Chodna: 

Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna. 




* Kuch Ker Kay Dikha Diya..... 

Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
Is jahan main jeetnay walay muqaam bohut hain,
Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay, Roz mar mitney walay naam bohut hain.




*  CHALTE RAHIYE 


HO KE MAYOOS NA YOON SHAAM SE DHALTE RAHIYE,
ZINDAGI BHOR HAI SURAJ SA NIKALTE RAHIYE,
EK HI PAON PE THAHROGE TO THAK JAOGE,
DHIRE-DHIRE HI SAHI RAAH PE CHALTE RAHIYE.  



* Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai: 


Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai. 




*Taqdeer Ka Suraj: 


Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,
Maysoos hokar na umeedon ka daman chhod,
Varna khuda naraz ho jayega,
Thokron se na tu ghabra,
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
Nakamyabi ki dhund se na ghabrana,
Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega. 




* SAPNE NAHI TOOTA KARTE


SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE
LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE



* Nigaho Mein Manzil

Nigaho mein manzil thi,
gire aur gir kar sambhalte rahe,
hawao ne bahut koshish ki,
magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe.


*. Khwaab Zinda Rakh
agar aankhein teri zinda hai
to inn mein khwaab bhi zinda rakh
mayoosi le jati hai kufr ki janib
hardam ummeed-e-fatah rakh
ragon mein jab khoon rawan hai ab tak
to koshishein apni rawan rakh
na ummeed le jati hai nakaami ke janib
umangein apni jawan rakh.



* Tujhe Mile Tu Jo Chahe
Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye
Har Lamha Teri Taqdir Sawarti nazar Aye
Bin Mange Tujhe Mile Tu Jo Chahe
Dua Khud Tere Hathon Ko Tarasti Nazar Aye


* Seekh
saahil jo samajh le moujon ko
kya khouf use tufaano se
mar kar hi to jeena hai
jeena hai yeh sikh liya parvaano se


* Udaan-hausla

Manzil unhi ko milti hai
Jinke sapno me jaan hoti hai
Pankh se kuchh nahi hota
Hauslon se udaan hoti hai


* Zindagi Degi Hassne Ke Mauke Hazaar Tumhein

zindagi se na rakho kabhi koi shikayat tum
yeh hasne ke degi mauke hazaron tumhein
muqabla karo hasske pareshanion ka tum
agar musibat aaye koi jo zindagi mein tumhein
jo aisi soch rakhoge har baaar tum
safalta milegi hi aakhirkar tumhein
hansne ke mauke degi zindagi baar baar tumhein.


* Raah 


raah mein kaante ek do nahi hote
raah kaanton se bhari hoti hai
manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai
dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain
jinki nigaah manzil par hoti hai
ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain

No comments: